Tuesday, August 4, 2009

Gori Tera Gaon Bada Pyara - Chitchor

Movie - Chitchor

Gori Tera Gaon Bada Pyara
Maein To Gaya Maara, Aake Yahan Re
Us Par Roop Tera Saada
Chandrama Jyon Aadha, Aadha Jawaan Re
Gori Tera Gaon...

Ji Karta Hai Mor Ke Paon Mein
Payaliya Pehna Doon
Kuhu Kuhu Gaati Koyaliya Ko Phoolon Ka Gehna Doon
Yahin Ghar Apna Banane Ko Panchi Kare Dekho
Tinke Jama Re, Tinke Jama Re
Gori Tera Gaon...

Rang Birange Phool Khile Hain
Log Bhi Phoolon Jaise
Aa Jaye Ek Baar Yahan Jo
Jayega Phir Kaise
Jhar Jhar Jharte Hue Jharne, Man Ko Lage Harne
Aisa Kahan Re, Aisa Kahan Re
Gori Tera Gaon...

Pardesi Anjaan Ko Aise
Koi Nahin Apnaata
Tum Logon Se Jud Gaya Jaise
Janam Janam Ka Naata
Apni Dhun Mein Magan Dole Log Yahan Bole
Dil Ki Zuban Re, Dil Ke Zuban Re
Gori Tera Gaon Bada...

Pyaar Hua Ikraar Hua -Shree 420

Movie - Shree 420

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil - 2

Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil - 2

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa

Kaho ki apni preet ka geet na badlega kabhi

Tum bhi kaho is raah ka meet na badlega kabhi
Pyaar jo toota, saath jo chhoota

Chaand na chamkega kabhi

Aa ha ha, aa ha ha
Aa aa aa, aa aa aa

Aa ha ha, aa ha ha
Aa aa aa, aa aa aa

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa
Raatein dason dishaaon se kahengi apni kahaaniyaan

Geet hamaare pyaar ke dohraayegi jawaaniyaan

Main na rahoongi, tum na rahoge
Phir bhi rahengi nishaaniyaan

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil
(Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil) - 2

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa

Chhookar Mere Man Ko - Yaraana

Movie - Yaraana

Chhookar Mere Man Ko Kiya Toone Kya Ishaara
Badla Yeh Mausam Lage Pyaara Jag Saara

Tu Jo Kahe Jeevan Bhar Tere Liye Maein Gaoon
Geet Tere Bolon Pe Likhta Chala Jaoon
Mere Geeton Mein Tujhe Dhoonde Jag Saara
Chhookar Mere Man Ko

Aaja Tera Aanchal Yeh Pyaar Se Maein Bhar Doon
Khushiyaan Jahan Bhar Ki Tujhko Nazar Kar Doon
Tu Hi Mera Jeevan Tu Hi Jeene Ka Sahaara
Chhookar Mere Man Ko

Suhana Safar - Madhumathi

Movie - Madhumathi

Suhana safar aur yeh mausam haseen -2
Humein darr hai hum kho na jaaye kahin
Suhana safar..

(Yeh kaun hansta hai phoolon mein chhupkar
Bahar bechain hai jiski dhun par) -2
Kahin gungun, kahin runjhun
Ki jaise nache zameen
Suhana safar...

(Yeh gori nadiyon ka chalna uchhalkar
Ki jaise allhad chale pi se milkar) -2
Pyare pyare yeh nazare nisar hai har kahin
Suhana safar...

Ho ho ho ...
(Woh aasman jhuk raha hai zameen par
Yeh milan humne dekha yahin par) -2
Meri duniya, mere sapne milenge shaayad yahin
Suhana safar...

Chalte Chalte Mere Yeh Git Yad Rakhna - Chalte Chalte

Movie - Chalte Chalte

Chalte Chalte Mere Ye Geet Yaad Rakhna
Kabhi Alwida Na Kehna
Rote Hanste Bas Yoon Hi Tum Gungunate Rehna
Kabhi Alwida Na Kehna

Pyar Karte Karte Hum Tum Kahin Kho Jaayenge
In Hi Baharon Ke Aanchal Mein Thak Ke So Jaayenge
Sapnon Ko Phir Bhi Tum Yoon Hi Sajaate Rehna
Kabhi Alwida Na Kehna...

Beech Raah Mein Dilbar Bichhad Jayen Kahin Hum Agar
Aur Sooni Si Lage Tumhe Jeevan Ki Yeh Dagar
Hum Laut Aayenge Tum Yoon Hi Bulate Rehna
Kabhi Alwida Na Kehna...

Saturday, August 1, 2009

Kitabain Bahut Si - Baazigar

Movie - Baazigar

Kitaben bahut si padhi hongi tumne
Magar koi chehra bhi tumne padha hai
Padha hai meri jaan nazar se padha hai
Bata mere chehre pe kya kya likha hai

Umange likhi hain jawani likhi hain
Tere dil ki saari kahani likhi hain )-2
Kahin haale dil bhi batata hai chehra
Na bolo to phir bhi batata hai chehra
Ye chehra haqiqat mein ek aayina hai
Bata mere chehre pe kya kya likha hai

Agar hum kahen humko ulfat nahin hai
Kahogi phir kaise mohabbat nahi hai )-2
Bare aaye chehre pe ye marne waale
Dikhawe ka aihde wafa karne waale
Dikhawa nahi pyar ki imtahaan hai
Bata mere chehre pe kya kya likha hai

Yeh Kaali Kaali Aakhen - Baazigar

Movie - Baazigar

Ye kaali kaali aakhen
Ye gore gore gaal
Ye teekhi teekhi nazren
Ye hirni jaisi chaal

Dekha jo tujhe jaanam
Hua re mera haal

Main mila, too mili
Hai too mili, main mila
Main mila, too mili
Too mili, main mila
Duniya jale to jale
Pyaar karenge tujh pe marenge
Dhak dhak dil yeh kare

Ye lambi lambi ratain
Aa kar le mulaquaten
Jaane kyon dil yeh mera
Tera hi hona chahe
Use maila na kar
Yeh gore gore gaal

Na too kar hat pat
Kar byah jhat pat
Meri aa ja too diqqat
Karte pyar ka tiket
Na too zhulfein jhatak
Na too pair patak
Are aise na matak
Dil gaya hai bhatak

Chehre pe tere sanam
Laila ki hai shokhiyaan
Heer si bhadke hai
Aakhon ki yeh mastiyaan
Juliet ki tarah honton pe
Hain sukrhiyaan
Dekh le khudh ko too
Jazar se meri ja ne jaan

Dekhi jo teri ada
Main phida ho gaya
Seene se lag ja mere
Jeene ka aaye mazaa

Ye bhikhree bhikhree zulphen
Ye jhuki jhuki palken
Ye gori gori bahain
Hum kyon na tumhe chahen
Aisa to humne pahle
Dekha nahi kamaal.

Yeh kaali kaali ...

Chhupana bhi nahin - Baazigar

Movie - Baazigar

Chupana bhi nahin aata
Jatana bhi nahin aata
Humen tumse mohabbat hai
Batana bhi nahi aata

Hatheli par tumhara naam
Likhte hai mitate hai )-2
Tumhi se pyaar karte hai
Tumhi se phir kyon chupate hai
Juban pe baat hain lekin sunana hi nahin aata
Humen tumse .....

Mohabbat kaise karte hai
Koi to humko samjhaye )-2
Kahin aisa na ho ki
Pyaar bin umra kat jaaye
Tum se milne ka koi bahan bhi nahi aata
Humen tumse mohabbat hai ...

Chori chori chupke chupke
Tumko dekha karte hai)-2
Haale dil sunane se
Na jane kyon darte hai
Kitna pagal dil hai mera manana bhi nahi aata
Hume tumse ...

Ae Mere Humsafar Ae Meri Jaan - Baazigar

Movie - Baazigar

Ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja - 2
Meri manzil hai tu tu hi mera jahaan
Ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja - 2
Ban gaye aaj ham do badan ek jaan
Ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja

(Bheega bheega aanchal aankhon ka yeh kajal ghayal na kar de mujhe
Seene ki yeh huchul badhne lagi pal pal paagal na kar de mujhe) - 2

Paagal toh ham ho gaye ban jaayegi dastaan
Aahista bolo sanam sun lega sara jahaan
Meri manzil hai tu tu hi mera jahaan
Ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja - 2

(Saanson ke yeh sholey saanson mein tu gholey pal mein pihgal jaye ham
Hothon ke angaarey hothon pe hamare rakh de toh jal jaaye ham) - 2

Yeh pyar woh aag hain jis mein nahi hai kuaan
Lagti hai jab yeh agan jal jaate hai jism-o-jaan
Ban gaye aaj ham do badan ek jaan
Ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja
Meri manzil hai tu tu hi mera jahaan
Ae mere humsafar ae meri jaan-e-ja

Aaja Nachle - Aaja Nachle

Movie - Aaja Nachle

Mera Jhumka Utha Ke Laaya Re Yaar Ve, Jo Gira Tha Bareli Ke Bazaar Me
Main To Thumka Lagaake Sharma Gayi
Boli Ghoongar Bandha Denge Mein Aa Gayi
Mujhko Nachaake Nachle, Aaja Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle
Jhanak Jhanak JhankaarO Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle, Abb To Luta Hai Baazar
Sabko Bhulaake Nachle, Aaja Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle
Jhanak Jhanak Jhankaar
O Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle, Abb To Luta Hai Baazar

(Nachle Nachle Jara Nachle Nachle, Chhat Pe Bulaake Nachle
Nachle Nachle Jara Nachle Nachle, Jhat Se Uthaake Nachle) - 2
Maine Galati Kari Thi, Meri Nathani Padi Thi - 2
Ke Sone Mein Usako Ranga Gayi, Mein Rangaake Atariya Pe Aa Gai
Mohalhe Mein Kaisi Maara Maar Hai, Bole Mochi Bhi Khud Ko Sonar Hai
Sab Ko Nacha Ke Nachle, Aaja Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle
Jhanak Jhanak Jhankaar
Ho O O Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle, Abb To Luta Hai Baazar
Sab Ko Bhula Ke Nachle
Aaja Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle, Jhanak Jhanak Jhankaar
O Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle, Abb To Luta Hai Bazaar

Main To Kamsin Kali Thi, Zara Tanke Chali Thi - 2
Aage Jaake Gali Pe Balakha Gayi, Koyi Jaane Jawaani Kab Aa Gai
Mere Sadke Zamane Ki Kamaayi Re, Mujhe Deta Udhaari Halwaayi Re
Sab Ko Nacha Ke Nachle, Aaja Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle
Jhanak Jhanak Jhankaar
O Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle, Abb To Luta Hai Bazaar
Sab Ko Bhula Ke Nachle, Aaja Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle
Jhanak Jhanak Jhankaar
O Nachle Nachle Mere Yaar Tu Nachle, Abb To Luta Hai Bazaar
(Nachle Nachle Jara Nachle Nachle, Chhat Pe Bulaake Nachle
Nachle Nachle Jara Nachle Nachle, Jhat Se Uthaake Nachle) – 2

Geela geela paani - Satya

Movie - Satya

Geela geela paani, paani sureela paani, paani - 2
Hoom hoom, hoom hoom barse
Aaya hai kiske ghar se paani, paani
Aasmaan chhalka hai, aasmaan bhar gaya
Bhar gaya
Geela geela paani, paani sureela paani, paani

(Sheeshon pe bajti hain boondein
Chehre pe chalti hain boondein) - 2

Ni pa, pa ni, gungun karta paani
Kalsi mein bharta paani, paani
Hoom hoom, hoom hoom barse
Aaya hai kiske ghar se paani, paani

(Ruk ruk ke chalta hai yeh dil
Mujrim sa lagta hai yeh dil) - 2

Ni pa, pa ni, honton ne chakkha paani
Boondein mein rakha paani, paani
Hoom hoom, hoom hoom barse
Aaya hai kiske ghar se paani, paani
Aasmaan chhalka hai, aasmaan bhar gaya
Bhar gaya